Bismillah hir-Rahman nir-Raheem
Nahmaduhu Wa Nusalli Ala Rasooli hil Kareem.... Amma 'Baad... Fa' Auzubillahi Minash Shaitaannir Rajeem'.
Allah ne hamaari kamiyaabi deen me rakhi hai ye baat hum mese har ek ko pata hai par naa humne aaz taq din ko samjaa naa kamiyaabi ko .. Sabse pahle to Hume ye samjna jaruri hai deen kise kahte hai ... Aasan lafzo me kahu to Allah ke hukm aur hamaare nabi sallalahu alaihi wa salaam ke tarike jindgi ke har shobhe me pure karna ye deen hai.. Paidaish se lekar mout taq subah uthne se lekar sone taq hum Jo kaam karte hai .. Bas usko Allah ke hukm ke mutabiq aur nabi ke tarike ke mutabiq Ada karenge wo kaam deen ban jayegaa ... Imaan wale ki puri zindgi aur deen ko paanch shobho me samet diya gaya hai ,,
1>IMAANIYAAT,
2>IBAADAAT
3>AKHLAKIYAAT
4>MAAMLAAT
5>MAASHRAAT
in paanch chizo ko deen ke shobhe yaane hisse kaha jaata hai hume in paanch baato me Allah ka hukm aur nabi ka tariqa dekhna hai kya hai aur use pura karna hai aur mout taq uspar Jame rahna hai... Isi par Allah ne kamiyaabi ka wada rakhaa hai ,, isse hatkar chalenge to Allah Hume nakamiyaab kar denge ... Ab ye samjna hai kamiyaabi aur naa kamiyaabi kya hai... Kamiyaabi se muraad uski dono jahan ki zindgi , duniya ki aur aakhirat ki zindgi me Allah us bande ko chain, sukun , raahat , itminaan , aafiyat , amn aamaal, aur barkat wali zindgi denge , uske har kaam me madat karenge jhopdiyo me rahengaa fir bhi khush rahegaa aur aakhirat me use hamesha hamesha ki jannat me dakhil kar denge aur sabse badi kamiyaabi usse apni razaa ka parwana denge .... Aur Jo banda deen ke khilaaf apni manmaani jindgi gujaregaa Allah uske jindgi se chain sukun ko chhin lenge jaise khane ke liye behtarin khana honga par Allah uski lazzat ko chhin lenge ,, sone ke liye narm narm bistar hongaa par Allah uski nind ko khtm kar denge , aulaado me se farmabardaari ko khtm kar denge,, shohar biwi mese muhbbat ko khtm kar denge ,, maal se barkat khatm kar denge , uska dil kabhi itminaan se rqh nahi sakengaa ... Aur aakhirat me use hamesha hamesha ke liye jahnnam jaise kaid khane me daal denge... Aur Allah usse naraz hogaa...
Ab Inshaallah mai upar Jo baate bataayi hai usimese har ek baat ka khulasa karne ki koshish karungaa ummid karta hun aap log ise padhenge bhi aur samjenge bhi aur is par amal bhi karenge... Iska agla hissa agli post par Inshaallah...
Subhan Allah
ReplyDelete