kam waqt me banna hai jyada der ke liye chalna hai!!!!
Mere ajiz dosto meri aaz ki post ek khas baat batana chahti hai.. Ummid hai aap sab use sahi tariqe se samjenge...
Insaan tin jindgiyo se gujarta hai, ek maa kaa pet , dusra duniyaa ki jindgi , aur tisari aur sabse badi aakhirat ki jindgi... Har aane wali jindgi usse pahle ki jindgi par nirbhar karti hai... Har aanewali jindgi usse pahle wali jindgi se badi hai...
kam waqt me banna hai aur jyada der ke liye chalna hai Matlab ye hai ki misaal ke tuor par
Ek gaadi company me do mahine me banti hai aur 15-20 saal ke liye road par chalti hai... Agar company me Hi banate waqt usme koi fault aa jaaye to road par thik se nahi chal sakti
ek jindgi hai maa ke pet ki usme hum 9 mahine rahte hai ... Ab isme Allah ke hukm se har chiz ko banayaa jaise haath ,pair , aankh kaam , hamare jism ke har aazaa ko .. Par agar us jindgi me yaane maa ke pet me agar koi chiz kam ho jaaye jaise kisike pair naa ho yaa haath naa ho yaa aankh naa ho to wo uske baad ki Jo jindgi hai usme thikse nahi chalegaa isliye maa ke pet me kam waqt me sahi har chiz ka banna jaruri hai... Tabhi jyada Der yaane agli jindgi Jo 60-70 kam yaa jyada saal ki hai usme sahi tariqe se chal sakegaa... Usi tarah ab hum duniya ki jindgi me hai ... Ye jindgi aane wali jindgi ko sahi banaane ke liye hai... Jaisa yahaa banenge waisa aakhirat ki Jo sabse badi jindgi Jo kabhi khtm nahi hongi usme sahi tariqe se chal sakenge.. Aur isko sahi banaane ke liye Allah ne kuch rules banaaye hai ... Ek to ahkaam e khudawandi.. Aur sunnat e nabwi... Yaane Allah ka hukm aur nabi ka tariqa in dono se hamaari aakhirat ki jindgi sahi banne wali hai aur uske liye waqt kitna hai jitni hamaari jindgi duniya me hai ... Isliye hum sab iska azm wa iraada kare ki is kam waqt ki jindgi me Allah ke hukm aur nabi ke tarike ke mutabik apni jindgi ko banaakar apni agli jindgi ki tayyari karenge... Is duniya me rab maani chalenge to aakhirat me manmaani chalegi.....
Allah se duaa kare Allah hum sabko mout taq sunnat aur shariyyat ki pabandi karnewala banaaye...
*Duaa ka talabgaar*
No comments:
Post a Comment