Tuesday, 3 November 2015

Molana saad sahab

Hidayat
Maulana saad sahab farmate hai kamiyab woh nahi jissey hidayath mill gayiii lekin Kamiyab woh hai jiski hidayath par maut ho

Maulvi saad sahab...
.

Maulvi sahab ke bayaan me ye baat suni ke ulma farmate hai Allah ne aqal ke 100 hisse kiye jiska 1 Hissa hazrat Aadam(A.S) se lekar qayamat tak aane wale har insaan ke darmiyan taqseem kar diya,aur bache hue 99 hisse Muhammad(S.A.W) ko ata farmaye.

phir aage Maulvi sahab ne yu farmaya ke agar koi shakhs ye kahe ke Muhammad(S.A.W) ke sunnato ke mutaaliq mujhe ye baat samajh me naa aayi ya deen ke mutalliq mujhe ye baat samjh me na aayi to us ahmaq se pucho ke tere hisse me aqal ka kaunsa zarra aaya hain jo tujhe baat samajh me aayegi.

kehne ka maqsad ye hai ke Muhammad(S.A.W) ki sunnate bhale zahir ke khilaf ho lekin humare liye 100 feesad kaamyaabi aap ki sunnato me hi hai.

Allah hum sab ki zindagiyo ko 100 feesad sunnat aur shariyat par daal de(Aameen)..

No comments:

Post a Comment